Gratitude and Hopes.

Ye waqt jo is ummeed me guzaar rahe hain hum
Ki ayega firse wo waqt jab khuli hawaon me jee sakenge hum

Wo kaam ka tanav wo shaam ka intezar
Wo weekends ki raah wo weekdays ke hisaab
Wo bahar ki dhoop wo mitti ki dhul
Bas maaf karde rab agar hui ho koi bhul
Yaad aati hain wo raahein jinse guzarte the har din
Khuda bas ab dikhade yaar firse wo din 
Tham si gayin hai logon ki umeedein
Par aas ne na chhodi hai apne iraade

Amulya hai wo log jo din raat lage hai is khoj
Ki firse chalegi duniya jese chalti thi har roz

Naman hai hamara unki junooniyat ke aage
Karzdaar hai hum unke himmat ke aage
Khuda ne bheje hain apne bande 
Jo aj tainat hain hamari surakhsha ke aage. 🙏

                                                --rashmi.    
                                                              
                        


Comments

Popular posts from this blog

Pledge To Spread Happiness.🌸

Choose Your Day.

Pandemic or Poverty:COVID-19 INDIA